416~*Muj Ko Pyar Se*~Pak Old. Mil gayi thandak nigahon ko Tere dedaar se Ho sake to aaj de Aawaz muj ko pyar se ![]() ![]() ![]() ![]() Mil gayi muj ko zubaan Shoq hay mera jawaan Choor kar tuj ko bata Main bhala jaoun kahan Aik nisbat hay mujhye Tere dar o diwar se ![]() ![]() ![]() ![]() Lab pe hay mere duaa Tu yunhi mahke sada Tarikhiya bujti raheen Jalta rahe tera diya Loog manga hi kareen Khushbo tere gulzar se ![]() ![]() ![]() ![]() Mil gayi thandak nigahon ko Tere dedaar se Ho sake to aaj de Aawaz muj ko pyar se ![]() ![]() ![]() ![]() |
0
415~*Zindagi Kitni Haseen Hay*~ Zindagi kitni haseen hay Sath mera tum agar do Mout ka bhi gham naheen hay ![]() ![]() ![]() ![]() Toora jo tu ne mera dil Ek din pachtao ge Pyar ka ho ga jab yaqeen Duniya ko tukrao ge Tum kaho ge sanam Ho gaye hain tere hum ![]() ![]() ![]() ![]() Dil ko jalate ho kyun Hum se khafa ho kar Chain mile ga na kaheen Hum se juda ho kar Ji sakeen ge na hum Teri chahat ki kasam ![]() ![]() ![]() ![]() |
414~*Lahou Ka Rang Aik Hay*~ Har aadmi alag sahi Magar umang aik hay Juda juda hain surteen Lahou ka rang aik hay Tumen jo yeh libas hay Bohot azeez dostoo Haqekton ko dhanpne ki Hay yeh cheez dostoo Yahan wagar na har kisi Ka naam_o_nang aik hay Woh geet sun raha houn main Nagar nagar main aaj bhi K jis ki laye pe jhoom uthe Yeh sang dil samag bhi Khere hain jitne zamzamen Sabhi ka ang aik hay Bani hay sari kayenaat Pyar k khameer se Na aye agar tumeen yaqeen To pouch lo zameer se Zameer ki har ek sada ka Rang dhang aik hay Yahan har aik shaks ka Baland tar muqaam ho Miteen dilon se nafraten Sabhi ka ehtram ho Is ehtram k liye hamari Jang aik hay |
413~*Zindagi Aik Safar Hay*~Pak Old... Zindagi aik safar hay jis main Loog milte hain bichar jate hain Haadse aik hi pal main kiya kiya Jine walon pe guzar jate hain Rahzan aise bhi kuch milte hain Ban k rahbar Aastinon main chupe hote hain Jin k khanjar Loog hote naheen dil k wasey Jaise cheroon se nazar ate hain Aasman in ka zameen in ki Zamana in ka Sari duniya main naheen phir bhi Thikana in ka Aasmanon k yeh tuute tare Yun zaminon pe bikhar jate hain |
412~*Karte hain Mohabbat*~Pak Old... Aadhi raat ko yeh duniya wale Jab khawabon main kho jate hain Asye main mohabbat k rogii Yadoon k cheraag jalate hain ![]() ![]() ![]() ![]() Karte hain mohabbat sabhi magar Har dil ko sila kab milta hay Ati hain bahareen gulshan main Har phool magar kab khilta hay ![]() ![]() ![]() ![]() Main ranja na tha tu hiir na thi Hum apna pyar nibha na sake Yun pyar k khawab bohot dekhe Tahbir magar hum pa na sake ![]() ![]() ![]() ![]() Main ne to bohot chaha lekin Tu rakh na saki wahdon ka bharam Ab rah rah kar yaad ata hay Jo tu ne kiya is dil pe sitam ![]() ![]() ![]() ![]() Parda jo hata doon chare se Tujhye loog kaheen ge har jayi Majboor houn main dil k hathon Manzoor naheen teri ruswayi ![]() ![]() ![]() ![]() Socha hay k apne honton par Main chup ki mohar laga loun ga Main teri sulagti yadoon se Ab is dil ko bahla loun ga ![]() ![]() ![]() ![]() |
Subscribe to:
Posts (Atom)





